Friday, September 21, 2012

Zindagi ki kitab k paane

Zindagi ki kitab k ab kuch hi paane baki hai
pichle panno ko palat k dekhta hoon to
kuch paane surk ujale to kuch gehre andhere liye nazar aate hai
pichle panno pe likhi kuch dastan maan ko gudguda jati hai
to kuch ko pad k aankhe nam ho jati hai
panne palate palate aksar ye ehsaas hota hai
jo manzil zindagi suru hone pe thi
us se kahin bahut alag hai ab ki manzil
jane kitne nishan hai unginat logo k in panno mein
kitni mohabat aur nafrat bhari hui hai in pichle panno mein
pichle panno se guzarti hui zindagi
jaise parde pe chalti hui koi film ka ehsaas bhi kara deti hai
janta nahi aage k panno pe aur kya kya likha hai
par ye jarur keh sakta hoon
duniya ki kitabo se jitna pada hai
us se kahin jada sikhaya hai
kitna muqqmal raha ye zindagi ka safar ye to upar wale pe rakh chhod hai
koshish yahi hai baki bache panno pe zindagi ko koi muqqmal aant mil jaye

No comments: