Tuesday, November 22, 2011

engineering ki mohabat

Teri ek zalak pane k liye sheikh bhai ki tapri pe baith
wo kashish wali chai pina aaj bhi dil gudguda deta hai
kisi tarah tujhe se baat ho jaye isliye
bahane bahane se tujhe se copiyan maang lena,
tere bole gaye har shabd pe junior's ko party dena
abhi bhi hontho pe hansi la deta hai
tution k notes lane k liye dosto ko tere ghar bhejna aur
un k wapas aane par tere barein mein har baat puchna
un ka thoda kuch batane pe jalan hona
ye sab soch soch k aaj bhi khush ho jana,
office k kaam k tension mein bhi
engineering k dino ko tazza kar deta hai....

TERE JANE K BAD

Ab to roz mehfil sazhti hai,
par ab ki mehfilo mein wo jaan nahi hoti tere jane k bad
Ye chand bhi khilta hai par thoda udaas rehta hai
rota bilakhta hai kabhi kabhi to pura khilta bhi nahi
ruth kar muh fulaye baitha rehta hai tere jane k bad,
main samajha ne jata hoon to kehta hai
tere aur us k mil ne aur juda hone par
main ghata badta tha poornima aur amavash ka pratik ban kar,
sikayatein jayaz hai lekin kaise batau is pagle ko,
kuch vaade kiye the tujhe se zindagi jeene k
isliye har dum muskurata rehta hoon,
hasta khelta rehta hoon
Tere jane k Bad.

Wednesday, November 16, 2011

Neela Aasman

Un ki ek tasveer hai mere pass
barso phele de kar gayi thi wo ,
roz dekhta hoon fir bhi jee nahi bharta,
ye neela aasman lagta hai
jaise un se hi apna rang udhar le aaya ho.

Neelkanth panchi koi dikha ho

Lambi barish k bad jaise indradhanush
apni saptarangi chata bikherta hai,
waise hi dus baras intezar k bad roz
mere ghar k aagan mein aasmani rango mein simti huyi,
gehri aankho wali PARI utarti hai,
jaise kai varsho se chalte huye
ghane jungalo mein Neelkanth panchi koi dikha ho...

sacchi mohabat pe yakin karne laga tha maine.

Na naan maloom tha,
na gaon ka kuch pata tha un k,
umeed bhi kuch tut ne lagi thi ki un se kabhi mulaqat bhi ho paye gi,
taqdeer mein lekin unse milna likha tha sayad,
jo meri marti hui umeedo ki dua kabul ho gayi,
meri ghoor tapsya ka faal mil gaya tha mujh ko,
aur fir sacchi mohabat pe yakin karne laga tha maine..

Poetic lines

Mere ghar ki tuti chhat se chan kar dhup aati hai,
Mere andhere kamre mein roshni ka wahi ek jariya hai

Wednesday, November 9, 2011

Musafir

Yahan na koi raqib hai,na hi koi sanam,

musafir hai sabhi rah chalte huye,

jo kuch padao k liye humsafar ho liye,

kuch din saath rahe hans bole mohabat kar liye,

fir juda ho chale apni manzil k liye.

Aaj gamo ki dhalti sham to kya

Aaj gamo ki dhalti sham to kya,

kal jagmagata hua savera to ho ga,

nahi mili abhi tak apeskshit safalta to kya hua,

kal kamyabi ka shikhar to chumenge,

mere shabdo ki aaj tumhari nazaro mein koi kimat nahi to kya,

kal yahi mere shabd kisi k liye bes-kimati honge.

Tuesday, November 1, 2011

Mohabat ka bojh

Roz chali aati thi meri kabr pe dustak dene wo,
sab kehte the mujh se bepanaah mohabat karti thi wo,
kabr k andar bhi saans lena muskil ho gaya,
phoolon ki chadar ko apni mohabat ka itna bojh de kar jati thi wo...

Khamosh Aankhe

Khamosh hai aankhe kuch nami liye huye,
jane kitana kuch chupaye huye,
bahut dard liye hai,
na jane kab se dil mein dabaye huye,
kehte kehte kyun honth hai ki sil jate,
dhadkane hai guzarish karti hui,bezubuan dard ki parte kholti hui...