Tuesday, September 11, 2012

Fir kabhi Zindagi k kisi mod pe

Fir kabhi zindagi k kisi mod pe
mera aur tumhara aamna samana hoga
tumhare barein mein to kuch keh nahi sakta par
mere pass bahut kuch ho ga keh ne k liye
wohi jo pichle barah baras
se dafan hai mere seene mein
yun to roz hi kehta hoon tumse wohi sab khayalo mein
jo kabhi tumse kaha nahi haqiqat mein
us samay bhi tum duniya k dasturo ka wasta
de meri baato ko adhore mein chhod gayi thi
aur aaj bhi main duniya k dasturo se wakif na ho saka
tum ko duniya ki fikr thi aur mujh ko tumhari
tumhari khatir har baat ko
khamosh kar diya taki tum par koi aanch na aa sake
tum par aane wali har aanch ko to rok liya maine
lekin khud jal raha hoon pichle barah baras se
gunaah sirf itna ki tumse mohabat ki
aisi mohabat jo ki adhori ansuni hai ab tak
ab bas dua hai fir ek baar zindagi k kisi mod pe
mera aur tumhara aamna samana ho
tum duniya k dasturo se to bakhubi wakif ho
ab tum ko khud se wakif kara saku
jo tumhare liye mohabat hai mere seene mein
wo aaine jaise tum ko dekha saku
jab kabhi mera aur tumhara Aamna samna ho

No comments: