Friday, April 27, 2012

Maa


छुरी और काँटों से खाने में तेरे हाथों का स्वाद नहीं आता

हो सके तो अपने हाथ से दाल चावल मिला के खिला दे माँ

रोज बैठा तो हूँ ए सी में पर,

तेरी गोद में लेट कर तेरे आँचल की ठंडी छाँव का सुकून नहीं मिलता

हो सके तो अपने हांथों से हवा कर फिर सुला दे माँ

बाहर से लड़ झगड़ के आता था रोता था बिलखता था,

तू अपनी साडी के कोनों से मेरे आंसूं पोछ देती थी

अब आंसूओं के सागर में गोते लगा रहा हूँ

हो सके तो आके पार लगा दे माँ,

तेरे सपनों को साकार करने चलते चलते बहुत दूर आ गया हूँ

हो सके तो वापस बुला के अपने गले से लगा ले माँ

थक गया हूँ दुनिया से लड़ते लड़ते, हो सके तो

मेरे सर पे अपना हाथ रख मेरा होसला बढा दे माँ

आज जो कुछ हूँ सब तेरे ही दिए हुए संस्कारों की वजह से हूँ

तेरे चरणों पे शीश नवा कर तुझे प्रणाम करता हूँ,

हो सके तो हर जनम तुझे ही माँ के रूप में पाऊँ ये आशीर्वाद दे माँ

कभी कहा नहीं पर आज कहता हूँ, "आय लव यू माँ ."

Wednesday, April 25, 2012

MAA


Churi aur kaanto se khana khane mein tere haatho ka swad nahi aata

ho sake to aapne haath se dal chawal mila k khela de MAA

roz baithta to hoon AC mein par teri god mein late kar

tere aanchal ki thandi chaav ka sukun nahi milta,

ho sake to aapne haatho se hawa kar

mujhe fir sula de MAA, bahar se lad zhagad

k aata tha rota tha bilkhta tha,

tu aapni saaree k kono se mere aansu poch deti thi,

ab aansuo k saagar mein gote laga raha hoon,

ho sake to aa k par laga de MAA,

tere sapno ko sakar karne k liye chalte chalte

bahut dur aa gaya hoon,

ho sake to wapas bula k aapne gale se laga le MAA,

thak gaya hoon duniya se ladte ladte

ho sake to mere sar pe aapna haath rakh mera hosla bada de MAA,

aaj jo kuch hoon sab tere hi diye huye sanskaro ki wajah se hoon,

tere charno pe sees nava kar tujhe pranam karta hoon

ho sake to har janam mein tujhe hi maa k roop mein pau ye aashirwad de de MAA

kabhi kaha nahi par aaj kehta hoon I LOVE U MAA.

Lauta sako to lauta do wo nadan masoom bachpan

Haath jod aap sab se mera anurodh hai

lauta sako to lauta do mera wo nadan masoom bachapan,

jahan aapni kabiliyat sabit karne k liye

mujhe kisi aur masoom ko piche chhodna pade,

wo pollution free hawa jahan maine khul k saans le saku,

wohi purani sanskriti jahan main aapni

Maa ko Maa aur pita ko pita keh saku

wo purana zamana janha maine laptop aur computer

chalane se phele guli danda khela na sikh saku

lauta sako to lauta do mera wo masoom

bachpan jahan maine nadaan masoom bacha reh saku.

Kahaani

Yun to zindagi se koi sikayat nahi hai, par tera mukamal saath mila gaya hota to meri kahaani kuch aur hoti...

Dedicated to my KAKA

Ab wo haath nahi sar pe aap ka

lekin har waqt saaya mehsoos hota hai aap ka

ab us naam se koi nahi bulata mujh ko

jis naam se aap bulaya karte the

kabhi kabhi khamoshi mein kano pe

wohi awaaz sunai deti hai

jise sun ne ki har waqt koshish karta hoon

kisi se kabhi keh nahi paya,

na khul k kabhi ro paya,

aap se hi sikha hai kartavya path pe chalna

aap adhure mein chhod gaye to kya

aap ko diye huye vachan se bandha hoon

jab tak sharir mein saans hai

aap ka beta hone ka har farz nibhaunga.

Benaam Mohabat

janta nahi ki kya naam hai mere aur tumhare rishte ka . par keh sakta hoon is benaam mohabat ki bhi koi to manzil hogi

Friday, April 20, 2012

I will

For YOU I will defy the birth and death cycle..I will Love U and Live U through ages. x

Pichle janam ka

Hamara to pichle janamo ka kuuch rishta hai

kabhi kuch yun bhi hota hai..

tum jo socho wo maine keh do...

main jo dekhna chahu wo tum dekh lo

aapni nazaro se aisa hota hai aksar

mere aur tumhare biche mein

kuch hai pichle janamo ka jo bandhe huye hai

tum ko aur mujh ko ek hi dor se


Tuesday, April 17, 2012

Dard-e-mohabat


Mohabat mein hare huye log kehte hai,

mohabat bahut zalim hai bahut dard deti,

hum ne kaha us si dard-e-mohabat ko sahi disha de do,

wo ek nalayak insaan ko layak bana deti hai.....

Monday, April 16, 2012

Janta nahi

Janta nahi ki mohabat ibadat kya hai,

bas itna keh sakta hoon din tere naam se suru hota hai

aur raat tera naam le kar soti hai

Wednesday, April 11, 2012

khayal

wo kehte hai aap na khayal rakhna..
kaise rakh paunga aapna khayal..
jab un ka hi khayal dil se jata nahi

Thought

Whenever I ran out of thought I think of U..
Whenever I am struck with truckloads of thoughts I think of U

sukriya

Jitni baar aap ne mujhe sukriya kaha hai,
kash ki utni hi bar aap kehti deti ki aap ko mujh se pyar hai,
kitne bhole ho aap apni amanato ki liye bhi mujhe sukriya ada kiya,
par is dil ki wo dhadkan ko na sun sake
jo sirf aap k liye na jane kab se dhadak raha hai....

tasveer

Us ne mujhe se pucha meri kis tasveer se tumhe mohabat hai,

maine bhi kya kehta,us ki to har tasveer se dastaan-e-mohabat suru hoti hai..

Thursday, April 5, 2012

nazar k samane

kabhi kabhi kuch yun lagta hai..nazar k samane tum hoti..je bhar k tumhe dekh leta.

khayal

kitna bhi busy sahi..ek pal aisa nahi jis mein tera khayal nahi

Monday, April 2, 2012

Ek aisi jagah

Ek aisi jagah jana chata hoon,
jahan na koi mujhe phechanta ho,
ek aisi jagah jahan na koi awaaz ho,
na koi mujhe mere naam se pukarta ho,
Dur dur tak jahan koi nazar na aata ho,
sirf maine hi maine rahu,
aur koi na ho,
par aisa ho mere is main mein
tum hamesha sammil raho,
jahan tak nazar jaye,
mujhe mein tum aur tum mein main nazar aau,
main awaaz du aur tum sunai do
jahan maine kuch na kahu aur tum samajh jao,
ek aisi jagah jahan aaine bahut ho
par pratibimb kabhi tumahara ho kabhi mera.