Sunday, April 24, 2011

Thoughts

1.Never take sumone for granted,always remember the way u r treating sumone,u can also be treated in the same way by sumbody.Feel the pain before it hurts.

2.I never lost ur lost,I have always gained a heap of strength by falling in love with u.

Mere aur Un k biche

Ab mere aur un k bich batein karne
jaisa kuch bacha hi nahi tha,
fakat khamoshi reh gayi thi hamare darmiyan,
milte to jarur the ek dusre se
raho pe chalte chalte
lekin kehte kuch nahi the,
kuch rishton ki dor se bande huye the sayad,
isliye ek dusre ko dekh kar muskura diya karte the.....

Tuesday, April 19, 2011

Zindagi

Zindagi ki raho mein chalte chalte,
nanhi nanhi hatheliyon mein
na jane kab jevan ki dor aa gayi,
hum ne bhi patang ki dor samajh tham kar
aasaman ki uchaiyon ko chu ne ki koshish ki,
ungaliyon se jab khoon nikala tab samajh aaya,
ye patang ki nahi zindagi ki katili dor hai
jo nanhi hatheliyon aur majbut hatho mein fark nahi karti...

Sanam

Sanam ne hume milne un ki galiyon mein bulaya hai,
hume andhero mein bhatak na jaye,
roshni k liye chand ko aapni nazaro se nehlaya hai....

Idleness

Idleness comes in life to test the true character and temprament of a person,
How he can hold the burning desire for something to a particular moment of time.

Tuesday, April 5, 2011

sayari's by me....

tere hatho k likhe wo adh-jale khat ....
jin ka aakhir paigam bhi maine pad nahi paya
un ka pura jalna baki tha.....
aise to teri bahut tasveeray baha chuka tha..
aankho mein basi hui..teri tasveer ko aansuon se bahana baki tha.....
kahin na kahin lagta hai...khatam ho k bhi khatam na ho paya..
wo tera mera rishta baki tha....

koi sikayat na koi umeed tum se rahe gi ...
na tum mujhe wo pyar de payi jis k maine kabil tha...
na tum wo pyar samajh payi jise pe tumhara haq tha...
bas ek yahi tiss umar bhar rahe gi.....

kuch ulze huye khayal hai,
kuch bikhari hui zindagi,
thodi thehri ruki bhi hai.....
par lagta hai jaise har therao
har padao andesa liye huye,
kuch naye rashto ka ..nayi manzilo ka...

har seher har gali ki khak chan mari..
par unka kuch pata na mila,
tanhai mein taqrar karte rahe...
wo khwabo mein aa kar bole.....
dil mein bas ne walo k pate huya nahi karte....

meri likhi hui kuch nazamein hai.....

kash tum kabhi is sagar jaisi gehrai wale dil ka manthan kar pati,
is seene mein daabe huye amrit kalash ko nikal pati,
lekin tum se nikala bhi to vis ka pyala,
jis ne ek bante huye aasiyane ko ujad dala......


Meri aur tumhari wo mulaqat ,
jo akhiri ban k reh gayi,
tumhari bolti aankho ki khamoshi
jane kaise tumhara haal-e-dil bayaan kar gayi,
band hontho se judai ka wo dard jane tum kaise keh gayi,
ab tak hairan hoon maine itni badi bewaafi itni waafa se tum kaise kar gayi.....

Har Sham maikade mein tere naam ek jam hota hai,
hatho se zatak na jaye,labo se thama hota hai........
tu kahin bewafa k naam se mashur na ho jaye......
isliye ye diwana roz sharabi k naam se badnaam hota hai.....

Ek aks

Ek aks hai bheed mein tanhai mein jise dhundta hoon,

jane kyun ab mehrum hoon jise se.....

mile ga ya nahi ye bhi nahi janta hoon...

bas ek talash hai ......

lagta hai bahut phele bada karib tha ab kyun juda hai ye janta nahi....

kab bichade the ye bhi kuch dhundala sa hai....

aaj jab palat k dekha to wo gumsuda tha......

jise k har pal mere saath hone ka yakin tha mujh ko.....

gehrai se socha to samajh aaya mera wajood mujhe se khafa hai....

khud se khud ko pane ki ye jufatju hai.....aarzo hai.....