Monday, June 20, 2011

True from heart

1. I can live my whole life in utter SOLACE because of the moments I spent with U.....I Love u and I Miss u just as I love n Miss my breath.
Today you are not with me, but i can feel U with every breeze that flows besides me.....your physical presence was never a concern for me, as U are always with me.....I can feel U..every where....where ever i go.



2. It's an agony you have time for everyone when they need u but nobody has time for you when u need them....


3. Idleness comes in life to test the true character and temparament of a person,
How he can hold the burning desire for something to a particular moment of time.....

new lines

1. Tujhe juda ho k kaisa hoon maine, sharir hai..aatma se juda hoon maine....

2. Jab mile the unse ,
un k dil mein hamari ek tasveer bani thi.
aaj hum us jagah aapni tasveer talash rahe the
jahan se hamara naam-o-nishaan tak mita chuke the wo.

Monday, June 13, 2011

KHEL

Ghar ki pichali dewaaro pe
dhul ki parato k niche
patharo se likha hua
mera aur tumhara naam
aaj bhi hamare niswarth
prem ki muk gawahi deta hai,
na tum mujhe se barso se mili ho
na maine mila hoon tumse,
fir bhi lagta hai jaise saaye ki tarah
har waqt tum mere saath ho,
maine aaj bhi unhi saat phero se bandha hoon
jise tum bachpan ka khel samajh bhul chuki ho,
fark bas itna hai tum aur mujh mein,
tum khel ko khel samajh khelti rahi
aur maine us ko khel ko
aapni Zindagi samajh aaj bhi khel raha hoon..

Friday, June 10, 2011

Kavita

Zindagi aaj dorahe pe aa khadi hui thi,
wo tayaar khade the Hatho mein mehndi lagaye ,
khud ko kisi pe nichawar karne k liye,
aur Hum betaab the un k damaan mein simat jane k liye,
Dono hi taraf saache pyar ka imtihaan tha,
ajeeb kasmakash thi jeet kise gale lagaye...
baat aa k hum pe ruk gayi thi,
unho ne badi bebas nazaro se hume dekha,
un k aasko k aage hum fir dil ki bazi har aaye the,
par saachi mohabat ko duniya mein jeeta aaye the.
Un ko pa kar kho dena aasaan nahi tha,
lekin aaj hum ne un he kho kar pa liya tha....

Friday, June 3, 2011

Dil laga ne ki saza bhi aanokhi hoti hai

Door ho kar bhi mere pass ho tum,
meri har sans mein ho tum,
mere akelepan mein,
apnepan ka ehsaas ho tum.

ye mat samjhna ki teri mohabat na mili,
to apne liye barbadi ka aalam likhunga,
teri mohabat k bahrm pe to maine,
sara jhaan jeet lunga.

Cha kar bhi tum mujhe cha na sake,
maan kar bhi mujhe tum apna maan na sake,
gila is baat se nahi ki mujhe tumhari mohabat na mili,
gila is baat se hai ki tum meri mohabt samjah na sake.


aaj fir khamoshi mein gunguna ne ko ji chata hai,
aaj fir tere aanchal se lipt jane ko ji chata hai,
tere khayalo mein banya tha kabhi TAJMAHAL,
aaj usme teri tasvir lagane ko ji chata hai.........

Pyar bhi ajeeb rishta hai,
jis se umeed ho marham ki,
wo dard deta hai,
is dard mein bhi ajeeb apnapan hai hai,
kyunki pyar ye pyar se deta hai..................

Aap k seene ka dard mera ho jaye,
Aap k aansoo meri palko mein aa jaye,
mere Hotho ki hansi aap ko mil jaye,
Hai agar mere pyar mein saachaii,
To meri ye dua kabul ho jaye.....

Dil laga ne ki saza bhi aanokhi hoti hai,
jise na ho sacche pyar ki kadr,
mohabat uusi se hoti hai"...

zindagi ki kasmkash

Meri har kami ko maine khuda teri rehmat samajh kabul kiya,
teri kuch aur inayat baki thi mujh pe,
jo zindagi ki kasmkash mein bhi tune mujhe tanha chod diya.......

"Dil ki gheraiyon se chaha hai aapko,
Har dua mein manga hai aapko,
taqdir to dehko hamari,
fir bhi mere pyar par SHAK hai aapko"


Manzil Pane ki koi khushi na thi,
kadam kadam pe gamo ki aahat si thi,
kaise batau kaise kate din tere bin,
dil to dhadak raha tha par saanse thami si thi.....

Har pyar ki manzil nahi hoti

Har raat chandni nahi hoti,
Har jalti chiz roshani nahi hoti,
kya hua humne aap se pyar kiya,
Har pyar ki manzil nahi hoti......

Zindagi se sab ko sikayat kyun hai,
Har mod pe ruswai kyun hai,
Jise pa na mumkin nahi,
usse hi pane ki khwahish kyun hai......

Aap ka hamara to Dil ka rishta tha

Aap ka hamara to Dil ka rishta tha,
fir aaj kyun hamare bich itne faasle hai,
aap ka mere itne kareeb aa kar dur chale jana,
mere haatho ki lakiro mein likha tha,
ya fir ek bar kasoor hamara tha.......

Aap har kadam pe mere saath raho ge,
mujhe ye haseen gumaan tha,
ek aap the bich safar mein saath chod chale gaye,
ek hum the har safar mein aap k kadamo k nishan dhundte reh gaye.....

Hamari zindagi ki badi ajeeb dastaan hai,
Roz wohi subah,wohi sham hai,
jab bhi mili koi khushi,
Hume laga ye koi aane wali mayushi ka paigam hai............

Mudat se dil jis k liye bekarar tha,
har pal aankho ko jis ka intezar tha,
janmo janmo k liye jise khuda se humne maang liya tha,
wo hi kisi aur k liye haatho mein mehendi sajaye baitha tha.....

Tune bhi pyar mein kya wafaa nibhayi,
log aashiq ki kabr pe roz Diya jalane chale aate hai,
tu meri kabr pe do katra aashu bahane bhi nahi aayi........

Mukadar likhne wale tune bhi kya khub taqdir likhi hamari,
Hum jise chah rahe the khuda ki ibadat samjah kar,
wohi kis aur ki mohabat mein hum se ruswa ho chale the.....

Jane kya kami thi hamare pyar mein,
wo ho kar bhi hamare kisi aur k ho gaye,
hum aaj bhi unhe aapno mein talash rahe the,
aur wo hamara naam begano mein likh wa rahe the........

Nakaara

Duniya walo ne hume hamesha nakaara samajha,
Ishq mein duba hua aashiq aawara kaha,
In na samajho se kya kar aapni mohabat ki bayani,
Wo to ek dariya tha jis ka koi sahil na raha......

Zindagi mein kayi imthehan aaye,
gumo k tufan aaye,
ek mera wajood tha har thapedo mein bikharta raha,
ek tere pyar ka chirag tha,
hamesha mere dil mein jalta raha.......

kuch to baat thi teri maojudagi mein,
warna is kadar zindagi mein tanhai na ghir aayi hoti,
saari duniya ki khushi hamare daman mein simat gayi hoti,
agar teri sohbat hume mil gayi hoti........

Na tujhe bhula paunga,
na tujhe yaad rakh paunga,
tu to mera sayaa hai,
tujh se alag kaise maine hosh mein reh paunga....

nazaro ki inayat na hui

Apne Dil ki halat ki se bayaan karte,
Jo samajhte the wo pass ho kar bhi dur chale gaye,
Wo puch te hai hum akele kaise reh gaye,
Jo khud hi saath chod hume tanha kar gaye......

Har waqt dua karte reh ki aap ka saath mile,
par dua kabhi kabul na hui...
saari umar nikal gayi aap ki rah takte takte,
Afsos aap ki nazaro ki inayat kabhi hum par na hui.........
..

purani yaadien

Tujh se mohabat kya ki meri har khushi sitam mein badal gayi,
fir bhi mere har bhete aansoo ne teri salamati k liye dua ki,
ek hum the tere pyar k liye is jahan se ruksat ho rahe the.........
ek tu thi hamari duao k asar se aapni duniya aabad kar rahi thi,

kabhi wo humse bahut batein kiya karte the,
aapne dil ka har raaz hum par jahir kiya karte the,
aaj wo dusro mein itne masgul ho gaye,
ki hume aapne guzre huye kal mein sumar kiya karte hai.....

Itne dard mile ki rote rote aansu sukh gaye,
Har muskilo k tufan hamare aangan se guzar gaye,
kabhi behti thi hamare seene mein pyar ki bayar,
ab to lagta hai DIL k har jajbat mar gaye.......

Jab bhi chaha kisi ka saath mile,
bhari bheed mein tanhai ka sila mila,
sisakate rahe akele mein,
chup kara sake wo humsafar na mila.....

Bahut koshish ki lekin kisi baat par khush na ho saka,
khuda ne gum ki aisi chadar lapeti kisi haal mein fir muskura na saka,
kabhi main bhi jinda-dil hua karta tha,
ab log kehte hai main baat karna bhul gaya..............

Itne tukade kiye is dil k,tera pyar bhulane k liye,
Har tukado mein fir bhi tera naam likha paya,
katra katra beh gaya lahu ka jigar se,
jane kyun tujhe kabhi is dil se nikal na paya........

wo aapni har baat mein hamara jikr kiya karti thi,
un k har alfaz mein hamare liye fikr hua karti thi,
Bina paigam k hum maud ki god mein sama gaye,
ab pata chala wo hamare is duniya se chale
jane k liye roz khuda se fariyad karti thi....

Waqt k tufano mein hamare banaye kuch rishte
Tin ko k jaise bikharte chale gaye,
kabhi hum jin k saaye hua karte the,
Aaj unki parchai se bhi koso dur ho gaye......

Kabhi to oss ki bund ki tarah aakar mujhe se mil,
meri zindagi k aandhere ko aapne kadamo ki roshani se roshan kar,
thak gaya hoon duniya ki raftar mein daudte daudte,
aapni god mein sula kar mujhe jannat nasib kar....

Har manzil ka safar akele taye karte gaye,
har tufano k sitam khud k seene pe shete gaye,
bahut naaz tha hume aapne humdardo pe,
magar wohi humdard hume dard k sailab mein dubote gaye.....

khwahish to ye hai tere liye chand taare tod lau,
tere kadmo k niche phoolo ki chadar bichau,
har virane mein tere kangan ki khanak sunu,
jab bhi giree teri aankho se aansu,
unhe motiyon mein badal du,
itni mohabat hai tujhe se ki teri ek muskurahat
k liye aapni jaan fanna kar du.....

Aaj meri aankho ko tera didar nahi hua,
to chand ne bhi aasman ko chandni se mehrum kar diya,
maine chand se guzarish ki to wo bola,
teri mohabat dekh maine bhi badalo mein kho gaya.......

saari Umar aap ki wafa ki kise chahat thi,
Talash to thi us PAL ki jis mein aap ko hum se mohabat ho jati,
kayi sadiyan guzar dete hum us Pal mein,
Jis Pal ki kimat aap k liye kuch bhi nahi thi......

Kash unhe bhi hamare is DIL se mohabat ho jati...
aapne haatho mein wo hamare naam ki mehendi rachati....
aapni jaan se jada jise hamari jaan ki fikr hoti.....
jab hum ruth jate ,bade pyar se hume manati...........

Mere liye ho

Jab bhi tu muskuraaye to ek hansi mere liye ho,
tere har ek sajde mein dua mere liye ho,
meri dard-o-gum se ranjhish ho,
gar yeh haqiqat mein ho.....
Muskuraye tu to galo pe laali meri ho,
dua tu kar to lab mere ho,
itni mohabbat rahe hum dono mein,
aaeena tu dekhe aur aks mera ho.....

Inteja

Meri ukhadti saanso ka,dard teri aankho mein dekhe,
ek pal bhi teri nazro se ozal rahu,to tera Dil tadap uthe,
mujhe thokar lage, to aah teri nikale,
meri tanhaiyon mein siskiyan teri rahe,
sard hawao se jab ladta rahu,garam aagos tera rahe,
Aise to bahut log hai saath mere,
tujhse inteja hai, tu aise waqt mere karib rahe,
jab zindagi bhi mujh se apna daman chudati rahe......

Few Lines

1. Apne aarmano ki chita jala kar aaya,
jo bhi mila ek ek kar sab kho aaya,
meri har arz na manjur ki zindagi ne aapni adalat mein ,
aur log kehte hai maine zindagi se bahut kuch HASSIL kar aaya...

2.Hamare ashak the jo badal ban unka damaan bheego rahe the,
aur wo nadaan keh rahe the Allah k fazal se barish ho rahi hai......

3. kuch aisi fans lagi hai us k zakhmo ki,
har pal dil mein ek kasak si hoti hai,
mout hi manzil thi is dard ki,
par us ne zindagi jeene ki kasam di hai.....

4. kisi aur ko chahne k phele
kash tum in aankho ki betabi ko samajh pati
kisi aur ko aapne dil mein basane k phele,
ye dekh leti ki tum kisi ka Dil ujad rahi ho

Umeed

Ek umeed bani thi unke kadamo k nishano pe chalte chalte
kabhi is si tarah un k saath bhi chalyenge
ek halki si lehre ne un k nishan mita diye,
hum janha the wahi reh gaye
aur is darmiyan wo kosho dur ka fasla taye kar gaye...

New One

1.Humne to jab bhi ki ruhani mohabat ki ....
bazaaru ishq ki na to hume jarurat hai na hi samajh....


2.zindagi ko itne karib se dekha ki
zindagi k har lamhe mein ji liya,
dusre kisi se kanha ishq ki koi umeed thi,
khud ko khud ki mohabatk rang mein rang liya...