Friday, June 3, 2011

Nakaara

Duniya walo ne hume hamesha nakaara samajha,
Ishq mein duba hua aashiq aawara kaha,
In na samajho se kya kar aapni mohabat ki bayani,
Wo to ek dariya tha jis ka koi sahil na raha......

Zindagi mein kayi imthehan aaye,
gumo k tufan aaye,
ek mera wajood tha har thapedo mein bikharta raha,
ek tere pyar ka chirag tha,
hamesha mere dil mein jalta raha.......

kuch to baat thi teri maojudagi mein,
warna is kadar zindagi mein tanhai na ghir aayi hoti,
saari duniya ki khushi hamare daman mein simat gayi hoti,
agar teri sohbat hume mil gayi hoti........

Na tujhe bhula paunga,
na tujhe yaad rakh paunga,
tu to mera sayaa hai,
tujh se alag kaise maine hosh mein reh paunga....

No comments: