Wednesday, March 28, 2012

Bekhayali

Ab kuch bekhayali si rehti hai,

kuch befikri ka aalam rehta hai,

tujhe khone aur pane se kahin bahut dur,

tujh se mohabat hone ka ehsaas dil mein har waqt rehta hai,

tujhe hasil karne ki niyat to kabhi na thi,

mere dil mein har waqt ek teri hi tasveer hai,

ye baat tujhe bata saka is baat ki tasali rehti hai,

yahi tasali mere hontho pe hamesha muskan rakhti hai,

sab kehte hai bade aaram se hoon,

kaise kahu ye teri sulagti hui mohabat hai seene mein mere,

jo tezz hawao mein bhi mujhe jalaye rakhti hai..

Friday, March 2, 2012

izhar-e-mohabat

Mere har izhar-e-mohabat pe unho ne
mujh se sarmate huye ye sawaal kiya,
ki ab main kya bolu,
maine kaha ye mohabat to aap ki amanat hai,
barso phele aapne mere pass rakh chhodi thi,
is baat pe wo mujhe PAGAL kehti hai,
main bhi sukriya ada karta hoon unka,
is benaam ko un ho ne ek naam to diya...