Tuesday, December 27, 2011

Ab to maar hi dala

" Ab to maar hi dala"
badi masoomiyat se kaha tha un ho ne
meri ruh k alfazo k liye,
Ajeeb bholapan hai un ki sadagi mein
janti hai un k SAU janamo ki dua mangi hai humne,
fir bhi har baar aisa keh kar aapni umar bada deti hai...

11 baras

Is kadar unho ne is nadaan diwane ko apne gale lagaya,
11 baras ki lambi judai ki kasak chand lamho mein dur ho gayi.

Just 4 U

Aaj fir meri mohabat k imtihan ka din aaya hai,
un ho ne mujhe un k naam se bula ne ko kaha hai,
kaise batau meri ulzan unko,
kis naam se pukaru unko,
mujhe to har naam mein UNKA NAAM sunai deta hai...

Sunday, December 11, 2011

TUM MERE PASS NAHI

Kuch yaad honge tumhe wo bachpan k pal,
kaise aasmaan ko do hisso mein bat kar
sitaro ko tod apni zoli mein bhar liya karte the,
tumhare chehre par ki wo khushi dekhne k liye
main har baar apne sitaro ki ginti bhul jaya karta tha,
ab ki pura aasmaan hai mere pass,
chand taare bhi saare mere apne hai,
par wo khushi meri nahi jo kabhi tumse haar kar bhi meri thi,
kyun ki TUM MERE PASS NAHI.

Tuesday, November 22, 2011

engineering ki mohabat

Teri ek zalak pane k liye sheikh bhai ki tapri pe baith
wo kashish wali chai pina aaj bhi dil gudguda deta hai
kisi tarah tujhe se baat ho jaye isliye
bahane bahane se tujhe se copiyan maang lena,
tere bole gaye har shabd pe junior's ko party dena
abhi bhi hontho pe hansi la deta hai
tution k notes lane k liye dosto ko tere ghar bhejna aur
un k wapas aane par tere barein mein har baat puchna
un ka thoda kuch batane pe jalan hona
ye sab soch soch k aaj bhi khush ho jana,
office k kaam k tension mein bhi
engineering k dino ko tazza kar deta hai....

TERE JANE K BAD

Ab to roz mehfil sazhti hai,
par ab ki mehfilo mein wo jaan nahi hoti tere jane k bad
Ye chand bhi khilta hai par thoda udaas rehta hai
rota bilakhta hai kabhi kabhi to pura khilta bhi nahi
ruth kar muh fulaye baitha rehta hai tere jane k bad,
main samajha ne jata hoon to kehta hai
tere aur us k mil ne aur juda hone par
main ghata badta tha poornima aur amavash ka pratik ban kar,
sikayatein jayaz hai lekin kaise batau is pagle ko,
kuch vaade kiye the tujhe se zindagi jeene k
isliye har dum muskurata rehta hoon,
hasta khelta rehta hoon
Tere jane k Bad.

Wednesday, November 16, 2011

Neela Aasman

Un ki ek tasveer hai mere pass
barso phele de kar gayi thi wo ,
roz dekhta hoon fir bhi jee nahi bharta,
ye neela aasman lagta hai
jaise un se hi apna rang udhar le aaya ho.

Neelkanth panchi koi dikha ho

Lambi barish k bad jaise indradhanush
apni saptarangi chata bikherta hai,
waise hi dus baras intezar k bad roz
mere ghar k aagan mein aasmani rango mein simti huyi,
gehri aankho wali PARI utarti hai,
jaise kai varsho se chalte huye
ghane jungalo mein Neelkanth panchi koi dikha ho...

sacchi mohabat pe yakin karne laga tha maine.

Na naan maloom tha,
na gaon ka kuch pata tha un k,
umeed bhi kuch tut ne lagi thi ki un se kabhi mulaqat bhi ho paye gi,
taqdeer mein lekin unse milna likha tha sayad,
jo meri marti hui umeedo ki dua kabul ho gayi,
meri ghoor tapsya ka faal mil gaya tha mujh ko,
aur fir sacchi mohabat pe yakin karne laga tha maine..

Poetic lines

Mere ghar ki tuti chhat se chan kar dhup aati hai,
Mere andhere kamre mein roshni ka wahi ek jariya hai

Wednesday, November 9, 2011

Musafir

Yahan na koi raqib hai,na hi koi sanam,

musafir hai sabhi rah chalte huye,

jo kuch padao k liye humsafar ho liye,

kuch din saath rahe hans bole mohabat kar liye,

fir juda ho chale apni manzil k liye.

Aaj gamo ki dhalti sham to kya

Aaj gamo ki dhalti sham to kya,

kal jagmagata hua savera to ho ga,

nahi mili abhi tak apeskshit safalta to kya hua,

kal kamyabi ka shikhar to chumenge,

mere shabdo ki aaj tumhari nazaro mein koi kimat nahi to kya,

kal yahi mere shabd kisi k liye bes-kimati honge.

Tuesday, November 1, 2011

Mohabat ka bojh

Roz chali aati thi meri kabr pe dustak dene wo,
sab kehte the mujh se bepanaah mohabat karti thi wo,
kabr k andar bhi saans lena muskil ho gaya,
phoolon ki chadar ko apni mohabat ka itna bojh de kar jati thi wo...

Khamosh Aankhe

Khamosh hai aankhe kuch nami liye huye,
jane kitana kuch chupaye huye,
bahut dard liye hai,
na jane kab se dil mein dabaye huye,
kehte kehte kyun honth hai ki sil jate,
dhadkane hai guzarish karti hui,bezubuan dard ki parte kholti hui...

Monday, October 31, 2011

kuch purani kitab copiyan

kuch purani kitab copiyan hai jahan
unho ne aap ne haatho se kuch likha tha..
aaj bhi siyahi kuch gili hai....
jab bhi yaad kar k un pe aap ni ungli ghumata hoon
haatho mein lag jati hai
der talak us siyahi ka rang haatho se chuta nahi hai
barso phele kisi zamane mein pyar hua tha un se...
ab to ibadat lagti hai mohabat.

Nadi Kinare

Nadi k kinare aapni sweater bhul k aa gaya tha..
wo lekar aayi thi teh kar k..
aaj bhi us k mehndi lage haatho ki mehek
ko mehfuz rakha hai
humne aapni alamari mein
un ki ungliyan jahan jahan lagi thi
us jagah ka uunn aaj bhi kuch mulayam hai ab tak,
kuch alag hi sukan deta hai jab bhi phenta hoon..

Monday, August 22, 2011

Yuva Kranti

Duniya kehti thi hindustani janta sote rahegi,
kabhi awaaz buland nahi karegi,
keh do duniya walo se aaj hindustan jaag utha hai,
fir na kabhi sone k liye,
Yuvao ne aapni shakti ka aakalan kar liya hai,
keh do un umar daraz netao se ja kar sanyas le le,
ab bharat varas ko bhrastachar se mukt karne ka bida yuvao ne uthaya hai,
fir na bhujhe gi ye krnati ki mashal,
jo ab jal uthi hai,
fir na batayenge majhab k rang mein,
ab sab tirange rang mein rang mein hai,
Ab vicharvan hindustan hamara hai,
yahi yuva kranti ka naara hai....

Thursday, August 18, 2011

Batein

Wo batein jo kabhi tumhari thi,
aaj humne kar li to gunaah ho gaya,
fark bataon ka to na tha,
fark bas tum mein aur mujhe mein tha,
tum us waqt khata kar k sachaai ki murat ban gayi,
aur hum bina kisi jurm k gunaahgar sabbit ho gaye...

Teri tasveer

Barso baad aaj teri tasveer seene se laga kar zinda hone ka ehsaas hua.
Maare khushi k apne hi dil se sawaal kar baitha,
dhadkano ne kaha us ki ek jhalak ne hume fir se dhadkana sikha diya,
aaj meri dhadkano ne mujhe mere marne aur zinda hone ka fark batla diya....

Sunday, August 14, 2011

sum line

Bhatkate Bhatkate Un k dar pe aa gaye the,
sidhe rashto pe chalte huye jin se milna mumkin na tha....

Poem

Aaj ki sham tanha sahi,
Meri mehfil mein koi saki na sahi,
Tu aur maine ek dusre se anjaan sahi,
Par tere mehndi lage hatho mein,
chota sa hi sahi,
chupa hua hi sahi,
Mere naam ka phela akshar to hai..,
Tu meri zindagi mein na sahi,
Teri yaado mein mera basera to hai,
Meri chukhat pe koi roshani nahi na sahi,
Mere liye tere ghar mein ek jalta diya to hai,
Meri zindagi is nakaam mohabat mein barbad to kya,
Meri duwao se tu aabad to hai....

Thursday, July 7, 2011

Naam

Wo kehti hai, na mujhe tum mil sake,

na tum ne mujhe haasil kiya,

hum dono to ab juda hai,

fir hum aapne is rishte ko kya naam de,

maine kaha juda se sirf hamare jism ho rahe hai,

dono ki ruh to ek dusare mein hi lin hai,

aise rishto k naam nahi hote duniya ki nazaro mein,

par maine tum mein aapni RADHA dekhta hoon,

tum mujhe mein aapna SHYAM dekh lo.

Tuesday, July 5, 2011

Bachpan aur jawani ka fark

Meri khidki se ab pakki sadak nazar aati hai,
jo kabhi pagdandi hua karti thi,
bachpan mein jin par bekhauf nange paire duada karte the,
ab to halki thokar se seham jate hai,
bachpan aur jawani ki choto k fark ko samajhne
ki koshish ki tab samajh aaya,
bachpan ka ladkhadana badaan kharoch deta tha,
wahin ab halki si thokar Dil aur Dimaag par gehra sadma kar jati hai.

poetic lines

Wo bina war kiye hi dil nikal k le gaye ,
aur hum sirf itna keh paye,
jaan tum to kamaal kar gaye...

sayari

Jaane kya baat thi un k bichad ne mein,
hamari aankho k aansu aankho mein hi sukh gaye,
hontho ne to bahut kuch kehna chaha,
par alfaz gale mein hi ruke gaye,
har pal marte rahe un ki judaai mein,
par un k intezar mein sadiyan jee gaye...

kya baat hai

Yun to sabhi un ka khayal rakhte hai,
un he kabhi hamara khayal aa jaye to kya baat hai
Yun to wo aksar chup hi rehte hai ,
hamare samane aa kar do alfaz keh jaye to kya baat hai,
unki nazare hume dhund rahi ho,
aur hamari nazarein unse mil jaye to kya baat hai,
unse baat karne k liye to sabhi bechain rehte hai
wo hum se baat karne k liye bechain ho jaye to kya baat hai,
wo aksar bheed mein hote hai,
kabhi hamare bina bheed mein tanha ho jaye to kya baat hai,
hum to unse bepanah mohabat karte hai,
unhe bhi hamari mohabat se mohabat ho jaye to kya baat hai.

Aawran

Ek aawran chada rakha tha hamare swabhav mein humne,
bada yakin tha koi to ho ga jo is nakali saksiyat ko chir k
hamare antar maan mein zakega,
hamari be-zubaan savedanao ko samajhe ga,
is par meri taqdir mujhe pe hanste huye boli,
jin k pass khud ko samajhne ka waqt nahi hai,
wo tujhe aur teri dabi hui savedanao ko kya samajhenge..

Abhi thoda abhimaan baki hai.....



School college mein ek hasti thi meri,
aaj sadak par chalti hui bheed ka ek hisasa hoon,
par thoda abhimaan abhi baki hai,

bahut umeed thi khud se saarein logo mein mera chehar alag nazar aayega,
aaj itne logo mein khud ki shaksiyat se juda hoon,
par thoda abhimaan abhi baki hai,

pani k bulbule ki tarah hai Jeevan,
is chanbhangur jeevan ka thoda abhimaan abhi baki hai,

saathi to bahut bane is jeevan path pe,
ab sab aapni aapni manzil k musafir hai,
fir bhi un k saath ka thoda abhimaan abhi baki hai,

khali haath duniya mein aaya tha,
khali haath hi is duniya se jaunga,
fir bhi is khalipan ka thoda abhiman abhi baki hai..

har waqt kuchala jata hai yahan mera aatmshamaan,
fir bhi mere MAINE mein abhi thoda abhimaan baki hai.

Monday, June 20, 2011

True from heart

1. I can live my whole life in utter SOLACE because of the moments I spent with U.....I Love u and I Miss u just as I love n Miss my breath.
Today you are not with me, but i can feel U with every breeze that flows besides me.....your physical presence was never a concern for me, as U are always with me.....I can feel U..every where....where ever i go.



2. It's an agony you have time for everyone when they need u but nobody has time for you when u need them....


3. Idleness comes in life to test the true character and temparament of a person,
How he can hold the burning desire for something to a particular moment of time.....

new lines

1. Tujhe juda ho k kaisa hoon maine, sharir hai..aatma se juda hoon maine....

2. Jab mile the unse ,
un k dil mein hamari ek tasveer bani thi.
aaj hum us jagah aapni tasveer talash rahe the
jahan se hamara naam-o-nishaan tak mita chuke the wo.

Monday, June 13, 2011

KHEL

Ghar ki pichali dewaaro pe
dhul ki parato k niche
patharo se likha hua
mera aur tumhara naam
aaj bhi hamare niswarth
prem ki muk gawahi deta hai,
na tum mujhe se barso se mili ho
na maine mila hoon tumse,
fir bhi lagta hai jaise saaye ki tarah
har waqt tum mere saath ho,
maine aaj bhi unhi saat phero se bandha hoon
jise tum bachpan ka khel samajh bhul chuki ho,
fark bas itna hai tum aur mujh mein,
tum khel ko khel samajh khelti rahi
aur maine us ko khel ko
aapni Zindagi samajh aaj bhi khel raha hoon..

Friday, June 10, 2011

Kavita

Zindagi aaj dorahe pe aa khadi hui thi,
wo tayaar khade the Hatho mein mehndi lagaye ,
khud ko kisi pe nichawar karne k liye,
aur Hum betaab the un k damaan mein simat jane k liye,
Dono hi taraf saache pyar ka imtihaan tha,
ajeeb kasmakash thi jeet kise gale lagaye...
baat aa k hum pe ruk gayi thi,
unho ne badi bebas nazaro se hume dekha,
un k aasko k aage hum fir dil ki bazi har aaye the,
par saachi mohabat ko duniya mein jeeta aaye the.
Un ko pa kar kho dena aasaan nahi tha,
lekin aaj hum ne un he kho kar pa liya tha....

Friday, June 3, 2011

Dil laga ne ki saza bhi aanokhi hoti hai

Door ho kar bhi mere pass ho tum,
meri har sans mein ho tum,
mere akelepan mein,
apnepan ka ehsaas ho tum.

ye mat samjhna ki teri mohabat na mili,
to apne liye barbadi ka aalam likhunga,
teri mohabat k bahrm pe to maine,
sara jhaan jeet lunga.

Cha kar bhi tum mujhe cha na sake,
maan kar bhi mujhe tum apna maan na sake,
gila is baat se nahi ki mujhe tumhari mohabat na mili,
gila is baat se hai ki tum meri mohabt samjah na sake.


aaj fir khamoshi mein gunguna ne ko ji chata hai,
aaj fir tere aanchal se lipt jane ko ji chata hai,
tere khayalo mein banya tha kabhi TAJMAHAL,
aaj usme teri tasvir lagane ko ji chata hai.........

Pyar bhi ajeeb rishta hai,
jis se umeed ho marham ki,
wo dard deta hai,
is dard mein bhi ajeeb apnapan hai hai,
kyunki pyar ye pyar se deta hai..................

Aap k seene ka dard mera ho jaye,
Aap k aansoo meri palko mein aa jaye,
mere Hotho ki hansi aap ko mil jaye,
Hai agar mere pyar mein saachaii,
To meri ye dua kabul ho jaye.....

Dil laga ne ki saza bhi aanokhi hoti hai,
jise na ho sacche pyar ki kadr,
mohabat uusi se hoti hai"...

zindagi ki kasmkash

Meri har kami ko maine khuda teri rehmat samajh kabul kiya,
teri kuch aur inayat baki thi mujh pe,
jo zindagi ki kasmkash mein bhi tune mujhe tanha chod diya.......

"Dil ki gheraiyon se chaha hai aapko,
Har dua mein manga hai aapko,
taqdir to dehko hamari,
fir bhi mere pyar par SHAK hai aapko"


Manzil Pane ki koi khushi na thi,
kadam kadam pe gamo ki aahat si thi,
kaise batau kaise kate din tere bin,
dil to dhadak raha tha par saanse thami si thi.....

Har pyar ki manzil nahi hoti

Har raat chandni nahi hoti,
Har jalti chiz roshani nahi hoti,
kya hua humne aap se pyar kiya,
Har pyar ki manzil nahi hoti......

Zindagi se sab ko sikayat kyun hai,
Har mod pe ruswai kyun hai,
Jise pa na mumkin nahi,
usse hi pane ki khwahish kyun hai......

Aap ka hamara to Dil ka rishta tha

Aap ka hamara to Dil ka rishta tha,
fir aaj kyun hamare bich itne faasle hai,
aap ka mere itne kareeb aa kar dur chale jana,
mere haatho ki lakiro mein likha tha,
ya fir ek bar kasoor hamara tha.......

Aap har kadam pe mere saath raho ge,
mujhe ye haseen gumaan tha,
ek aap the bich safar mein saath chod chale gaye,
ek hum the har safar mein aap k kadamo k nishan dhundte reh gaye.....

Hamari zindagi ki badi ajeeb dastaan hai,
Roz wohi subah,wohi sham hai,
jab bhi mili koi khushi,
Hume laga ye koi aane wali mayushi ka paigam hai............

Mudat se dil jis k liye bekarar tha,
har pal aankho ko jis ka intezar tha,
janmo janmo k liye jise khuda se humne maang liya tha,
wo hi kisi aur k liye haatho mein mehendi sajaye baitha tha.....

Tune bhi pyar mein kya wafaa nibhayi,
log aashiq ki kabr pe roz Diya jalane chale aate hai,
tu meri kabr pe do katra aashu bahane bhi nahi aayi........

Mukadar likhne wale tune bhi kya khub taqdir likhi hamari,
Hum jise chah rahe the khuda ki ibadat samjah kar,
wohi kis aur ki mohabat mein hum se ruswa ho chale the.....

Jane kya kami thi hamare pyar mein,
wo ho kar bhi hamare kisi aur k ho gaye,
hum aaj bhi unhe aapno mein talash rahe the,
aur wo hamara naam begano mein likh wa rahe the........

Nakaara

Duniya walo ne hume hamesha nakaara samajha,
Ishq mein duba hua aashiq aawara kaha,
In na samajho se kya kar aapni mohabat ki bayani,
Wo to ek dariya tha jis ka koi sahil na raha......

Zindagi mein kayi imthehan aaye,
gumo k tufan aaye,
ek mera wajood tha har thapedo mein bikharta raha,
ek tere pyar ka chirag tha,
hamesha mere dil mein jalta raha.......

kuch to baat thi teri maojudagi mein,
warna is kadar zindagi mein tanhai na ghir aayi hoti,
saari duniya ki khushi hamare daman mein simat gayi hoti,
agar teri sohbat hume mil gayi hoti........

Na tujhe bhula paunga,
na tujhe yaad rakh paunga,
tu to mera sayaa hai,
tujh se alag kaise maine hosh mein reh paunga....

nazaro ki inayat na hui

Apne Dil ki halat ki se bayaan karte,
Jo samajhte the wo pass ho kar bhi dur chale gaye,
Wo puch te hai hum akele kaise reh gaye,
Jo khud hi saath chod hume tanha kar gaye......

Har waqt dua karte reh ki aap ka saath mile,
par dua kabhi kabul na hui...
saari umar nikal gayi aap ki rah takte takte,
Afsos aap ki nazaro ki inayat kabhi hum par na hui.........
..

purani yaadien

Tujh se mohabat kya ki meri har khushi sitam mein badal gayi,
fir bhi mere har bhete aansoo ne teri salamati k liye dua ki,
ek hum the tere pyar k liye is jahan se ruksat ho rahe the.........
ek tu thi hamari duao k asar se aapni duniya aabad kar rahi thi,

kabhi wo humse bahut batein kiya karte the,
aapne dil ka har raaz hum par jahir kiya karte the,
aaj wo dusro mein itne masgul ho gaye,
ki hume aapne guzre huye kal mein sumar kiya karte hai.....

Itne dard mile ki rote rote aansu sukh gaye,
Har muskilo k tufan hamare aangan se guzar gaye,
kabhi behti thi hamare seene mein pyar ki bayar,
ab to lagta hai DIL k har jajbat mar gaye.......

Jab bhi chaha kisi ka saath mile,
bhari bheed mein tanhai ka sila mila,
sisakate rahe akele mein,
chup kara sake wo humsafar na mila.....

Bahut koshish ki lekin kisi baat par khush na ho saka,
khuda ne gum ki aisi chadar lapeti kisi haal mein fir muskura na saka,
kabhi main bhi jinda-dil hua karta tha,
ab log kehte hai main baat karna bhul gaya..............

Itne tukade kiye is dil k,tera pyar bhulane k liye,
Har tukado mein fir bhi tera naam likha paya,
katra katra beh gaya lahu ka jigar se,
jane kyun tujhe kabhi is dil se nikal na paya........

wo aapni har baat mein hamara jikr kiya karti thi,
un k har alfaz mein hamare liye fikr hua karti thi,
Bina paigam k hum maud ki god mein sama gaye,
ab pata chala wo hamare is duniya se chale
jane k liye roz khuda se fariyad karti thi....

Waqt k tufano mein hamare banaye kuch rishte
Tin ko k jaise bikharte chale gaye,
kabhi hum jin k saaye hua karte the,
Aaj unki parchai se bhi koso dur ho gaye......

Kabhi to oss ki bund ki tarah aakar mujhe se mil,
meri zindagi k aandhere ko aapne kadamo ki roshani se roshan kar,
thak gaya hoon duniya ki raftar mein daudte daudte,
aapni god mein sula kar mujhe jannat nasib kar....

Har manzil ka safar akele taye karte gaye,
har tufano k sitam khud k seene pe shete gaye,
bahut naaz tha hume aapne humdardo pe,
magar wohi humdard hume dard k sailab mein dubote gaye.....

khwahish to ye hai tere liye chand taare tod lau,
tere kadmo k niche phoolo ki chadar bichau,
har virane mein tere kangan ki khanak sunu,
jab bhi giree teri aankho se aansu,
unhe motiyon mein badal du,
itni mohabat hai tujhe se ki teri ek muskurahat
k liye aapni jaan fanna kar du.....

Aaj meri aankho ko tera didar nahi hua,
to chand ne bhi aasman ko chandni se mehrum kar diya,
maine chand se guzarish ki to wo bola,
teri mohabat dekh maine bhi badalo mein kho gaya.......

saari Umar aap ki wafa ki kise chahat thi,
Talash to thi us PAL ki jis mein aap ko hum se mohabat ho jati,
kayi sadiyan guzar dete hum us Pal mein,
Jis Pal ki kimat aap k liye kuch bhi nahi thi......

Kash unhe bhi hamare is DIL se mohabat ho jati...
aapne haatho mein wo hamare naam ki mehendi rachati....
aapni jaan se jada jise hamari jaan ki fikr hoti.....
jab hum ruth jate ,bade pyar se hume manati...........

Mere liye ho

Jab bhi tu muskuraaye to ek hansi mere liye ho,
tere har ek sajde mein dua mere liye ho,
meri dard-o-gum se ranjhish ho,
gar yeh haqiqat mein ho.....
Muskuraye tu to galo pe laali meri ho,
dua tu kar to lab mere ho,
itni mohabbat rahe hum dono mein,
aaeena tu dekhe aur aks mera ho.....

Inteja

Meri ukhadti saanso ka,dard teri aankho mein dekhe,
ek pal bhi teri nazro se ozal rahu,to tera Dil tadap uthe,
mujhe thokar lage, to aah teri nikale,
meri tanhaiyon mein siskiyan teri rahe,
sard hawao se jab ladta rahu,garam aagos tera rahe,
Aise to bahut log hai saath mere,
tujhse inteja hai, tu aise waqt mere karib rahe,
jab zindagi bhi mujh se apna daman chudati rahe......

Few Lines

1. Apne aarmano ki chita jala kar aaya,
jo bhi mila ek ek kar sab kho aaya,
meri har arz na manjur ki zindagi ne aapni adalat mein ,
aur log kehte hai maine zindagi se bahut kuch HASSIL kar aaya...

2.Hamare ashak the jo badal ban unka damaan bheego rahe the,
aur wo nadaan keh rahe the Allah k fazal se barish ho rahi hai......

3. kuch aisi fans lagi hai us k zakhmo ki,
har pal dil mein ek kasak si hoti hai,
mout hi manzil thi is dard ki,
par us ne zindagi jeene ki kasam di hai.....

4. kisi aur ko chahne k phele
kash tum in aankho ki betabi ko samajh pati
kisi aur ko aapne dil mein basane k phele,
ye dekh leti ki tum kisi ka Dil ujad rahi ho

Umeed

Ek umeed bani thi unke kadamo k nishano pe chalte chalte
kabhi is si tarah un k saath bhi chalyenge
ek halki si lehre ne un k nishan mita diye,
hum janha the wahi reh gaye
aur is darmiyan wo kosho dur ka fasla taye kar gaye...

New One

1.Humne to jab bhi ki ruhani mohabat ki ....
bazaaru ishq ki na to hume jarurat hai na hi samajh....


2.zindagi ko itne karib se dekha ki
zindagi k har lamhe mein ji liya,
dusre kisi se kanha ishq ki koi umeed thi,
khud ko khud ki mohabatk rang mein rang liya...

Friday, May 20, 2011

Sagar-Nadi

Maine hoon sagar khare pani ka,
wo nadi meethe pani ki,
khud ka wajud mitakar
aapne jeevan ki sarthakta puri karti hui...
milne chale aati hai mujhe se,
maine bhi us k balidan ko yun hi nahi jane deta,
suraj ki garmi mein tap kar badal ban har jagah barasta hoon,
apne mohabat ko ek nayi ucchai dene k liye....

Wednesday, May 18, 2011

Stranger Sister

Sometimes we meet some strangers on our way who do something for us that's keep our mind ticking lifelong. One such incident happened with me on 17/05/2011.
I had went to Aurangabad to see my elder brother, While coming back, I took the Aurangabad-Pune bus, As I have to go to Narayanagaon I got down at Ahmednagar by-pass.The bus for Narayanagaon was from Tarakpur bus station. I was standing at the side of highway to ask somebody the way to Tarakpur bus station. Suddenly One lady around 35-40 years in age on her two wheeler came to me, I asked her the way to bus station. She told me the direction as well as offered me that she can drop me there.
But I told her that I will manage, instead She helped me crossing the road and stopped one auto rickshaw, told the driver the destination and paid the auto fare. When I said I will pay the fare, she said “Behen ne de diya to kuch hota hai kya.”
I was so dumb struck by that sentence that I could just manage saying thank-you not even asked her name. But the face of my stranger sister will remain in my visual forever.

Wednesday, May 4, 2011

Is Love a destroyer ?

This question often creep in my mind, is Love a destroyer ? Can Loving someone leads us in a situation where we are ready to ruin our life,our aims our goals. I will say no, loving someone can't take you to a path where one can eventually destroy himself/herself. One who destroy himself/herself doesn't love enough oneself. (One who try to destroy oneself might not be in Love but in Infatuation). Before loving someone to that extent one has to learn to love himself/herself to the fullest. One who has learned the art of self loving can't ruin his/her life.

Then why so many people destroy themselves in love, I will say because they don't have any other major goals or responsibilities in life. They have given priority to love despite having such beautiful life to do something more constructive. ( Perhaps they have not understood the holiness of love !! ). It's always harmful for us to give the emotional remote control of our life to someone. Don't ever let someone decides your fate or make you sad or happy.It always good to channelize your energy. Even if one does not get the love of his/her life has to accept the fact and then he/she should try to channelize the energy in some other direction.

I agree that not getting love of your life gives a deep scare in your heart, but you have to get the biggest strength, determination to do something extraordinary from that scare. Love is a beautiful and enlightening feelings. Deeply Loving someone gives you the courage and patience to succeed in the world. We have so many example of deep love like Radha and Krishna, they never got married but whenever their is a topic or discussion on love,first name came to our mind is of Radha-Krishna.

“ Never fall in Love, Always Rise in Love.”

Can time frame change the course of friendship

When I was in class 12th, while reading covalent bond in chemistry paper-1, I wrote a phrase

"Friendship is like a covalent bond,
where two persons which are in friendship
have to share Sorrow,joy,happiness between them."

At that time we friends were unaware of words like importance,expectation,possessive,sentiment,emotional fools. We used to be simple friends even without facebook, mobile phone ,email we were in touch with each other.

But as the time progresses, we came to know the new definition of friendship.

Now Each and everybody gets busy as well as happy with his/her life. With the increasingly demanding life, we loose contact with our friends over period of time.

Now we know about them through the status message of facebook.

Friendship also suffer from importance ignorance negligence we become friends with someone who takes us for granted.

Initially they seems to be very good with us but as the time progress and they get close to other persons, they start to take us for granted.

Their comes the role of expectation, If anyone who is in friendship and they are treated with lower importance there comes the rift between two persons.

---> We are human being we tend to have expectations, we are not living a ideal scenario where we are free from such emotions,feelings. If someone shows his/her feeling, can he/she be called possessive,sentimental,emotional fool. At the same time we are also possessive about our non-living companion like clothes, watch, gadgets etc., can we be categorized as emotional chap.

----> Time frame can change the course of friendship, there will be very few with whom you will be as it is as you were during the period of friendship bonding.

-----> Somebody for consoling says that " That's life, let it be..."

but how we can let it be, don't one can feel betrayed, hurt will not there be some pain,of course it will hurt a lot,it will takes a hell out of us.

-----> So in order to keep a friendship long lasting one has to value the friendship bond. We have to treat friendship as valuable and precious part of our life.

And whoever take you for granted remind them following some lines from ghazal by Jagjit singh

“ Dost mil jayenge kayi..na mile ga koi mere jaisa “

Sunday, May 1, 2011

Maut ka farman

Har koi aapna hume jajbati
keh kar tal ta gaya,
isliye maine aapne aarmano
ko dil ki gehraiyon mein daafan karta gaya,
armano ne pucha hamara kasoor kya tha,
maine kaha kasoor na mera tha na tumhara,
bas mere kuch aapno ne
tumhari maut ka farman jari kiya tha........

Mohabat-Nafrat

unhe hamari har baat pe aitraaz hai,
hume un k har aitraaz se pyar hai...
un he hamara kala rang napasand hai
hume un k hoto pe kala til bahut pasand hai....
unhe hamare chote kad pe sharm aati hai,
hume un k lambe baalo pe naaz hai,
fark bas itna hai........
un ki nafrat se hume mohabat hai
aur unhe hamari mohabat se nafrat.......

Meri aur tumhari wo mulaqat

Meri aur tumhari wo mulaqat ,
jo akhiri ban k reh gayi,
tumhari bolti aankho ki khamoshi
jane kaise tumhara haal-e-dil bayaan kar gayi,
band hontho se judai ka
wo dard jane tum kaise keh gayi,
ab tak hairan hoon maine itni badi bewaafi
itni waafa se tum kaise kar gayi.....

Sunday, April 24, 2011

Thoughts

1.Never take sumone for granted,always remember the way u r treating sumone,u can also be treated in the same way by sumbody.Feel the pain before it hurts.

2.I never lost ur lost,I have always gained a heap of strength by falling in love with u.

Mere aur Un k biche

Ab mere aur un k bich batein karne
jaisa kuch bacha hi nahi tha,
fakat khamoshi reh gayi thi hamare darmiyan,
milte to jarur the ek dusre se
raho pe chalte chalte
lekin kehte kuch nahi the,
kuch rishton ki dor se bande huye the sayad,
isliye ek dusre ko dekh kar muskura diya karte the.....

Tuesday, April 19, 2011

Zindagi

Zindagi ki raho mein chalte chalte,
nanhi nanhi hatheliyon mein
na jane kab jevan ki dor aa gayi,
hum ne bhi patang ki dor samajh tham kar
aasaman ki uchaiyon ko chu ne ki koshish ki,
ungaliyon se jab khoon nikala tab samajh aaya,
ye patang ki nahi zindagi ki katili dor hai
jo nanhi hatheliyon aur majbut hatho mein fark nahi karti...

Sanam

Sanam ne hume milne un ki galiyon mein bulaya hai,
hume andhero mein bhatak na jaye,
roshni k liye chand ko aapni nazaro se nehlaya hai....

Idleness

Idleness comes in life to test the true character and temprament of a person,
How he can hold the burning desire for something to a particular moment of time.

Tuesday, April 5, 2011

sayari's by me....

tere hatho k likhe wo adh-jale khat ....
jin ka aakhir paigam bhi maine pad nahi paya
un ka pura jalna baki tha.....
aise to teri bahut tasveeray baha chuka tha..
aankho mein basi hui..teri tasveer ko aansuon se bahana baki tha.....
kahin na kahin lagta hai...khatam ho k bhi khatam na ho paya..
wo tera mera rishta baki tha....

koi sikayat na koi umeed tum se rahe gi ...
na tum mujhe wo pyar de payi jis k maine kabil tha...
na tum wo pyar samajh payi jise pe tumhara haq tha...
bas ek yahi tiss umar bhar rahe gi.....

kuch ulze huye khayal hai,
kuch bikhari hui zindagi,
thodi thehri ruki bhi hai.....
par lagta hai jaise har therao
har padao andesa liye huye,
kuch naye rashto ka ..nayi manzilo ka...

har seher har gali ki khak chan mari..
par unka kuch pata na mila,
tanhai mein taqrar karte rahe...
wo khwabo mein aa kar bole.....
dil mein bas ne walo k pate huya nahi karte....

meri likhi hui kuch nazamein hai.....

kash tum kabhi is sagar jaisi gehrai wale dil ka manthan kar pati,
is seene mein daabe huye amrit kalash ko nikal pati,
lekin tum se nikala bhi to vis ka pyala,
jis ne ek bante huye aasiyane ko ujad dala......


Meri aur tumhari wo mulaqat ,
jo akhiri ban k reh gayi,
tumhari bolti aankho ki khamoshi
jane kaise tumhara haal-e-dil bayaan kar gayi,
band hontho se judai ka wo dard jane tum kaise keh gayi,
ab tak hairan hoon maine itni badi bewaafi itni waafa se tum kaise kar gayi.....

Har Sham maikade mein tere naam ek jam hota hai,
hatho se zatak na jaye,labo se thama hota hai........
tu kahin bewafa k naam se mashur na ho jaye......
isliye ye diwana roz sharabi k naam se badnaam hota hai.....

Ek aks

Ek aks hai bheed mein tanhai mein jise dhundta hoon,

jane kyun ab mehrum hoon jise se.....

mile ga ya nahi ye bhi nahi janta hoon...

bas ek talash hai ......

lagta hai bahut phele bada karib tha ab kyun juda hai ye janta nahi....

kab bichade the ye bhi kuch dhundala sa hai....

aaj jab palat k dekha to wo gumsuda tha......

jise k har pal mere saath hone ka yakin tha mujh ko.....

gehrai se socha to samajh aaya mera wajood mujhe se khafa hai....

khud se khud ko pane ki ye jufatju hai.....aarzo hai.....



Tuesday, March 15, 2011

Apne seher mein

Today we all are very much stable and successfull at our level.But when we sit alone somwhere sometimes we feel a void in our heart.
No doubt we are working, earning a handsome salary and living a good life style, still some pain is there, some emptiness is there.
Most of us left our hometown at a early age to mark our own identity. Before leaving every lane dusky path was known to us, but now that same lane, dusky path are quite unknown to us. Walking on those path lends us nowhere.Somewhere a thought strikes, is that was worth leaving our birth place.
We keep hopping from one city to another, one country to another country. No matter where we are, how much luxury we have, we miss the scent of our birth palce, our mother.
I have written some lines which depicts the pain,

Ye na socha tha tere aanchal ki thandi chhav se itne dur chala aaunga,
jahan tere mamta mayi hatho ka sparsh pichhe chhut jaye ga,
jeevan mein safal hone ki itni badi kimat chukaunga,
aapni maa apni janambhumi se itne dur chala aaunga....

While hopping during our life, we remain in constant touch with our friends throught Internet, phone call but do the Internet applications like Facebook ,gtalk gives us the warmth of friendship which we feel while meeting personally, with changing world every aspect of our life has changed a lot.

Ab hum dost facebook aur twitter pe milte hai..
gharo k pate to maloom nahi lekin email address pe mail karte hai
real world mein hote huye virtual world mein login karte hai..
ab hamari zindagi ki choti badi bataon ko facebook pe update karte hai...
jab kabhi bhul se aamne samane aa jaye..to huale se muskura dete hai
lekin gtalk yahoo messenger per ghanto chat karte hai....

As time passes, we think of making our identity and getting back to our roots but we forget that nothing will remain same back home.

Apne seher ko chhod chala tha,
ek naye seher mein nayi phechan liye nayi hasti bana ne k liye,
aaj jab lauta aapne seher mein apne seher mein,
apnapan jaisa kuch laga hi nahi,
nayi basti thi naye log the har taraf ek ajeeb ajnabiyat liye huye...
Socha tha ek hasti bana kar lautunga apne logo mein
hasti to bana le, par apna koi mila hi nahi apne seher mein....

Wednesday, March 9, 2011

She never let me feel handicapped

Today I am working as an engineer for the Giant Meterwave Radio Telescope at the Tata Institute of Fundamental Research Centre. Born a physically challenged person, I never thought that I would be able to reach this level in my career.

Whatever I am today is because of my mother and values instilled by her. My younger brother and I were both born physically handicapped, with 65 and 60 percent disabilities. But she never let us feel like we were handicapped or dependent on someone. She instilled courage, hard work, will power, determination and more in us so that we could live a normal life. Because of her faith I was able to complete my BE in Information Technology.

I remember one incident that burned the fire within me to do something extraordinary. It was my twelfth birthday and we never had birthday parties or celebrations at our house as we belonged to a humble family. But as a child, I was curious as to why my birthday was not celebrated like other children in my neighbourhood. So I asked my mother and she replied, "Yeh kya -- khud ka janamdin khud se manana. Kuch aisa kaam karo ki desh wale aap ka janamdin manayein!" ("What is this -- celebrating your own birthday. Work hard and do something that has the whole country celebrating your birthday!"). After that, I never bothered about my birthday party.

Last year I went in for lumbar spine surgery. I was hospitalised for 10 days and given bed rest for two months. During that time, my mother gave me the courage to know that I would be alright. Because of her positive attitude, I overcame the fear of surgery. Then in mid-June 2010, I lost my father. At that time too, my mother stood firm and gave us the strength to deal with this unexpected crisis.

I can just say I owe my whole life to my mother. Maa, I want to be your son only every time I take birth.