Monday, August 22, 2011

Yuva Kranti

Duniya kehti thi hindustani janta sote rahegi,
kabhi awaaz buland nahi karegi,
keh do duniya walo se aaj hindustan jaag utha hai,
fir na kabhi sone k liye,
Yuvao ne aapni shakti ka aakalan kar liya hai,
keh do un umar daraz netao se ja kar sanyas le le,
ab bharat varas ko bhrastachar se mukt karne ka bida yuvao ne uthaya hai,
fir na bhujhe gi ye krnati ki mashal,
jo ab jal uthi hai,
fir na batayenge majhab k rang mein,
ab sab tirange rang mein rang mein hai,
Ab vicharvan hindustan hamara hai,
yahi yuva kranti ka naara hai....

Thursday, August 18, 2011

Batein

Wo batein jo kabhi tumhari thi,
aaj humne kar li to gunaah ho gaya,
fark bataon ka to na tha,
fark bas tum mein aur mujhe mein tha,
tum us waqt khata kar k sachaai ki murat ban gayi,
aur hum bina kisi jurm k gunaahgar sabbit ho gaye...

Teri tasveer

Barso baad aaj teri tasveer seene se laga kar zinda hone ka ehsaas hua.
Maare khushi k apne hi dil se sawaal kar baitha,
dhadkano ne kaha us ki ek jhalak ne hume fir se dhadkana sikha diya,
aaj meri dhadkano ne mujhe mere marne aur zinda hone ka fark batla diya....

Sunday, August 14, 2011

sum line

Bhatkate Bhatkate Un k dar pe aa gaye the,
sidhe rashto pe chalte huye jin se milna mumkin na tha....

Poem

Aaj ki sham tanha sahi,
Meri mehfil mein koi saki na sahi,
Tu aur maine ek dusre se anjaan sahi,
Par tere mehndi lage hatho mein,
chota sa hi sahi,
chupa hua hi sahi,
Mere naam ka phela akshar to hai..,
Tu meri zindagi mein na sahi,
Teri yaado mein mera basera to hai,
Meri chukhat pe koi roshani nahi na sahi,
Mere liye tere ghar mein ek jalta diya to hai,
Meri zindagi is nakaam mohabat mein barbad to kya,
Meri duwao se tu aabad to hai....