Thursday, July 7, 2011

Naam

Wo kehti hai, na mujhe tum mil sake,

na tum ne mujhe haasil kiya,

hum dono to ab juda hai,

fir hum aapne is rishte ko kya naam de,

maine kaha juda se sirf hamare jism ho rahe hai,

dono ki ruh to ek dusare mein hi lin hai,

aise rishto k naam nahi hote duniya ki nazaro mein,

par maine tum mein aapni RADHA dekhta hoon,

tum mujhe mein aapna SHYAM dekh lo.

Tuesday, July 5, 2011

Bachpan aur jawani ka fark

Meri khidki se ab pakki sadak nazar aati hai,
jo kabhi pagdandi hua karti thi,
bachpan mein jin par bekhauf nange paire duada karte the,
ab to halki thokar se seham jate hai,
bachpan aur jawani ki choto k fark ko samajhne
ki koshish ki tab samajh aaya,
bachpan ka ladkhadana badaan kharoch deta tha,
wahin ab halki si thokar Dil aur Dimaag par gehra sadma kar jati hai.

poetic lines

Wo bina war kiye hi dil nikal k le gaye ,
aur hum sirf itna keh paye,
jaan tum to kamaal kar gaye...

sayari

Jaane kya baat thi un k bichad ne mein,
hamari aankho k aansu aankho mein hi sukh gaye,
hontho ne to bahut kuch kehna chaha,
par alfaz gale mein hi ruke gaye,
har pal marte rahe un ki judaai mein,
par un k intezar mein sadiyan jee gaye...

kya baat hai

Yun to sabhi un ka khayal rakhte hai,
un he kabhi hamara khayal aa jaye to kya baat hai
Yun to wo aksar chup hi rehte hai ,
hamare samane aa kar do alfaz keh jaye to kya baat hai,
unki nazare hume dhund rahi ho,
aur hamari nazarein unse mil jaye to kya baat hai,
unse baat karne k liye to sabhi bechain rehte hai
wo hum se baat karne k liye bechain ho jaye to kya baat hai,
wo aksar bheed mein hote hai,
kabhi hamare bina bheed mein tanha ho jaye to kya baat hai,
hum to unse bepanah mohabat karte hai,
unhe bhi hamari mohabat se mohabat ho jaye to kya baat hai.

Aawran

Ek aawran chada rakha tha hamare swabhav mein humne,
bada yakin tha koi to ho ga jo is nakali saksiyat ko chir k
hamare antar maan mein zakega,
hamari be-zubaan savedanao ko samajhe ga,
is par meri taqdir mujhe pe hanste huye boli,
jin k pass khud ko samajhne ka waqt nahi hai,
wo tujhe aur teri dabi hui savedanao ko kya samajhenge..

Abhi thoda abhimaan baki hai.....



School college mein ek hasti thi meri,
aaj sadak par chalti hui bheed ka ek hisasa hoon,
par thoda abhimaan abhi baki hai,

bahut umeed thi khud se saarein logo mein mera chehar alag nazar aayega,
aaj itne logo mein khud ki shaksiyat se juda hoon,
par thoda abhimaan abhi baki hai,

pani k bulbule ki tarah hai Jeevan,
is chanbhangur jeevan ka thoda abhimaan abhi baki hai,

saathi to bahut bane is jeevan path pe,
ab sab aapni aapni manzil k musafir hai,
fir bhi un k saath ka thoda abhimaan abhi baki hai,

khali haath duniya mein aaya tha,
khali haath hi is duniya se jaunga,
fir bhi is khalipan ka thoda abhiman abhi baki hai..

har waqt kuchala jata hai yahan mera aatmshamaan,
fir bhi mere MAINE mein abhi thoda abhimaan baki hai.