Thursday, September 20, 2012

Maa

lawn ki bench ko aaj aap ki kami mehsoos ho rahi thi
sikayat kar rahi thi ki ab us ka koi apna us k pass nahi aata
lawn ki ghas bhi kuch suk si gayi hai
pucha to keti hai ab us ko aap k pairo ki nami nahi milti
wo jo aap ne tulsi ka poudha laga ya tha na
wo bhi murza gaya hai, kehta hai ab Maa jal arpan nahi karti
ab in nadano ko kaise samajhu ki jis Maa ne in sab ko apnatv diya tha
us ki aur bhi bahut jawabdariyan hai, us k apnatv k liye tarasti aur bhi kayi komal hatheliyan hai,
jin ko sanskaro ka path padane Maa un k pass gayi hai
Maa to ek hi hai par us k aanchal ka pyar paa ne k liye bechain bahut hai
isliye Maa ko apna saara samay apni saari santano mein barabar dena padta hai...
tum sab ki vedana maine bhi samajhta hoon
par jara us Maa k liye bhi soch lo
wo bhi tum sab k bina is si vedana ko seh k

kahin aur apne kartavya ko pura kar rahi hai.

No comments: