Tuesday, April 5, 2011

sayari's by me....

tere hatho k likhe wo adh-jale khat ....
jin ka aakhir paigam bhi maine pad nahi paya
un ka pura jalna baki tha.....
aise to teri bahut tasveeray baha chuka tha..
aankho mein basi hui..teri tasveer ko aansuon se bahana baki tha.....
kahin na kahin lagta hai...khatam ho k bhi khatam na ho paya..
wo tera mera rishta baki tha....

koi sikayat na koi umeed tum se rahe gi ...
na tum mujhe wo pyar de payi jis k maine kabil tha...
na tum wo pyar samajh payi jise pe tumhara haq tha...
bas ek yahi tiss umar bhar rahe gi.....

kuch ulze huye khayal hai,
kuch bikhari hui zindagi,
thodi thehri ruki bhi hai.....
par lagta hai jaise har therao
har padao andesa liye huye,
kuch naye rashto ka ..nayi manzilo ka...

har seher har gali ki khak chan mari..
par unka kuch pata na mila,
tanhai mein taqrar karte rahe...
wo khwabo mein aa kar bole.....
dil mein bas ne walo k pate huya nahi karte....

No comments: