Tuesday, April 5, 2011

meri likhi hui kuch nazamein hai.....

kash tum kabhi is sagar jaisi gehrai wale dil ka manthan kar pati,
is seene mein daabe huye amrit kalash ko nikal pati,
lekin tum se nikala bhi to vis ka pyala,
jis ne ek bante huye aasiyane ko ujad dala......


Meri aur tumhari wo mulaqat ,
jo akhiri ban k reh gayi,
tumhari bolti aankho ki khamoshi
jane kaise tumhara haal-e-dil bayaan kar gayi,
band hontho se judai ka wo dard jane tum kaise keh gayi,
ab tak hairan hoon maine itni badi bewaafi itni waafa se tum kaise kar gayi.....

Har Sham maikade mein tere naam ek jam hota hai,
hatho se zatak na jaye,labo se thama hota hai........
tu kahin bewafa k naam se mashur na ho jaye......
isliye ye diwana roz sharabi k naam se badnaam hota hai.....