Monday, April 2, 2012

Ek aisi jagah

Ek aisi jagah jana chata hoon,
jahan na koi mujhe phechanta ho,
ek aisi jagah jahan na koi awaaz ho,
na koi mujhe mere naam se pukarta ho,
Dur dur tak jahan koi nazar na aata ho,
sirf maine hi maine rahu,
aur koi na ho,
par aisa ho mere is main mein
tum hamesha sammil raho,
jahan tak nazar jaye,
mujhe mein tum aur tum mein main nazar aau,
main awaaz du aur tum sunai do
jahan maine kuch na kahu aur tum samajh jao,
ek aisi jagah jahan aaine bahut ho
par pratibimb kabhi tumahara ho kabhi mera.

No comments: